Monday, 16 August 2021

Isey Ehsaan Kahu Yaa Pyar KAhu

 





Isey ehsaan kahu ya pyaar kahu
Ya rab ka tujhe uphaar kahu
tera aana meri duniya me
Mai isey hi basant ki bahaar kahu
Tu jo hanse dil jhoome gaaye
Tu jo roothe dil murjhaye
Tujhse mohabbat hai mujhe
Ek bar nahi sau baar kahu
Isey ehsaan kahu ya pyaar kahu
ya rab ka tujhe uphaar kahu
Teri soch me mera hi khayal
Waah re ishq tera kamaal
Mai jeet gaya paake tujhe
Is jeet ko kaise haar kahu
Isey ehsaan kahu ya pyaar kahu
Ya rab ka tujhe uphaar kahu

Nazim "Ahlam"



No comments: